Baba Ji Question Answers

Published No Comments on Baba Ji Question Answers

Questions Answers

Ques…Babaji aap karnal aaye the…bahut shukriya….
Ans..Bete tu karnal se yahan Bhi as gaya
Sangat laughed

Ques..Babaji aap jab Bhi Delhi jayain to karnal hote huwe jayain…mujhe itni taquat baksho ki main helipad bana sakoon….aur…babaji aap mere ko aapki car ke peeche chalne ki sewa baksh do
Ans…bete peeche kiyon..main to chahta hoon ki aap mere aage chalain

Ques…babaji nahin…main peeche hi chalna chahta hoon..
Ans…sari duniya kehti hai ki aage chalna hai…aur yeh kehta hai peeche chalna hai
Laughter

Ques..babaji mere ko naal leke chalo
Ans…mere saath baithna hai…aaja
Laughter

Ques…babaji.Maine koee ques. Nahin poochna….main to khush hoon ki….aap kal rajpura aaye…sari sangat nu khush kar Diya….babaji I like you
Ans…sabhi beebeeyan yehi kehti hain…jab main jawaan tha..tab kiseene nahin kaha….ab buraape main
Roar of laughter

Ques…babaji mere father bahut ache hain…voh sabka bhala karte hain…kisi ko zaroorat ho to paise Bhi de dete hain…per jab humko kabhi zaroorat hoti hai..to koee bhi aage nahin aata…Sab unka kiya bhool jaate hain….aap Ne samjhaya hai ki gussa nahin karna chahiye….per kaee baar negativity itni as jaati hai…ki gussa aata hai..ki mere father itne acche kiyon hain
Ans…beta tumhain to khush hona chahiye ki…aapke father itne ache hain…yeh karm yoni hai…yahan hum pichle karmo ka bhugtaan karte hain aur naye karm Bhi banaate hain…to achha hai…aapke father apne karmo ka bhugtaan achhe se kar rah hai.

Ques…babaji aapka shukr hai aap Patiala aaye….mere pitaji ne namdan liya tha…per Kuch samay baad voh sharab peene lage
Satsang Bhi nahin aate aur hamain Bhi nahin aane dete…babaji aaisa kiyon huwa…hum bahut pareshaan hain…ghar main negativity hai
Ans….beta sabke apne apne karm hain..aap positivity le aao

Ques…babaji main akele aap ke saath aapki sentro main chalna chahta hoon
Ans..akele kisi ke saath jaane se…main….darta hoon….pata nahin kaun kya MATLAB nikaal le…..tabhi to mere saath poori team chalti hai
Again laughter

Radha Soami Ji

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!